KHayal-e-nawak-e-mizhgan mein bas hum sar paTakte hain
hamare dil mein muddat se ye KHar-e-gham khaTakte hain
ruKH-e-raushan pe us ki gesu-e-shab-gun laTakte hain
qayamat hai musafir rasta din ko bhaTakte hain
fughan karti hai bulbul yaad mein gar gul ke ai gulchin
sada ek aah ki aati hai jab ghunche chaTakte hain
riha karta nahin sayyaad hum ko mausam-e-gul mein
qafas mein dam jo ghabraata hai sar de de paTakte hain
uDa dunga 'rasa' main dhajjiyan daman-e-sahra ki
abas KHar-e-bayaban mere daman se aTakte hain
Ghazal
KHayal-e-nawak-e-mizhgan mein bas hum sar paTakte hain
Bhartendu Harishchandra