اردو हिंदी
KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye | Shaahi Shayari
KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye

Ghazal

KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye

Mukhtar Hashmi

;

KHayal-e-marg baDi shai hai zindagi ke liye
andhera jaise zaruri hai raushni ke liye

sukun ki bhik na mangenge chashm-e-lutf se hum
gada banenge na do din ki zindagi ke liye

junun ne raaz-e-haqiqat to pa liya lekin
KHuda ko kho diya zauq-e-KHud-agahi ke liye

baja ki rah-numa rahzan nahin lekin
musafir ab bhi taraste hain rah-rawi ke liye

jo teri chashm-e-tawajjoh pe ho gaya qurban
wo gham bhi kitna zaruri tha zindagi ke liye

ye dil ghamon se hai mamur ai KHayal-e-nashat
kahan se aaengi gunjaishen KHushi ke liye

sahenge gham ke liye jabr-e-zindagi lekin
nazar na gham se bachaenge zindagi ke liye

KHulus-e-dil ke tajassus mein khoe hum 'muKHtar'
nazar paDi bhi to dushman pe dosti ke liye