KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka
nahin saba ko hai dawa jahan-rasai ka
kahin wo kasrat-e-ushshaq se ghamanD mein aa
Darun hun main ki na dawa kare KHudai ka
mujhe to Dho ke tha zahid par ek nigah se aaj
ghurur kya hua wo teri parsai ka
jahan mein dil na lagane ka lewe phir koi nam
bayan karun main agar teri bewafai ka
na chhoDa mar bhi kha kar guzar gali ka teri
raqib ko mere dawa hai be-hayai ka
nahin KHayal mein late wo saltanat jam ki
ghurur hai jinhen dar ki tere gadai ka
jafa-e-yar se mat 'ishtiyaq' pher ke munh
KHayal kijo kahin aur jubba-sai ka
Ghazal
KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka
Waliullah Sarhindi Ishtiyaq