KHayal aatishin KHwabida suraten di hain
saKHa-e-hijr ne ab bhi numaishen di hain
ye ab jo KHwab zamanon ne dastaken di hain
pas-e-murad haqaeq ki manzilen di hain
mere libas ke paiwand-e-muflisi pe na ja
mere junun ne mohabbat ko KHilaten di hain
mere mizaj ka mausam ajib mausam hai
ki jis ke gham ne bhi hasti ko raunaqen di hain
hum ahl-e-ishq ne tawan rahaten de kar
hudud-e-arsa-e-wahshat ko wusaten di hain
chalo ye baat ghalat hai to phir batao mujhe
har ek hath mein kis kis ne mishalen di hain
shuur jae to fursat se nind bhi aae
fishaar-e-zat ne 'farhat' ko ranjishen di hain
Ghazal
KHayal aatishin KHwabida suraten di hain
Farhat Abbas