اردو हिंदी
KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga | Shaahi Shayari
KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

Ghazal

KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

Shahid Meer

;

KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga
tez hain kitni hawaen is ka andaza laga

KHushk tha mausam magar barsi ghaTa jab yaad ki
dil ka murjhaya hua ghuncha tar-o-taza laga

raushni si kar gai qurbat kisi ke jism ki
ruh mein khulta hua mashriq ka darwaza laga

ye andheri raat benam-o-nishan kar jaegi
apne chehre par sunahri dhup ka ghaza laga

zehn par jis dam tera ehsas ghaalib aa gaya
dur tak bikhra hua lafzon ka shiraaza laga

ham-KHayal o ham-nawa bhi tujh ko mil hi jaenge
raat ke tanha musafir koi aawaza laga