KHauf-o-wahshat bar-sar-e-bazar rakh jata hai kaun
yun rag-e-ehsas par talwar rakh jata hai kaun
kyun wo milne se gurezan is qadar hone lage
mere un ke darmiyan diwar rakh jata hai kaun
mimbar-o-mehrab se aatish-fishan hote to hain
waqt ki dahliz par dastar rakh jata hai kaun
bas KHuda ghafil nahin hai warna is manjdhaar mein
meri kashti ke liye patwar rakh jata hai kaun
ye mera zauq-e-safar hai warna aisi dhup mein
har qadam par ek shajar chhitnar rakh jata hai kaun
dil baDi nazuk si shai hai un se itna puchhiye
TuTe shishon ka yahan ambar rakh jata hai kaun
tirgi apna muqaddar likh chuki phir bhi 'tapish'
aaine mein ek ghalat pindar rakh jata hai kaun
Ghazal
KHauf-o-wahshat bar-sar-e-bazar rakh jata hai kaun
Abdussamad ’Tapish’