KHauf ki aisi na bimari lage
sach wo bole to adakari lage
sahibon se har ijazat lo magar
muskurana bhi na sarkari lage
sab miyan haalat par mauquf hai
phul bhi talwar se bhaari lage
ai farishto sar na Dhalkana mera
maut bhi aae to sardari lage
bhaD mein jae ye tahzib-e-kalam
baat kahne mein bhi dushwari lage
wo ghazal-abaad mein rahta hai nur
kyun na us ka har suKHan kari lage
Ghazal
KHauf ki aisi na bimari lage
Noor Taqi Noor