KHauf ka tari silsila kya hai
har-su wahshat hai ye hua kya hai
ruh zaKHmi hamari sab ki hai
mil ke sochen ki ab dawa kya hai
qulzum-e-KHun na az-azal Thahri
is zehanat ka faeda kya hai
har taraf shor in sawalon ka
kaun hai tu tera pata kya hai
ghair ke ghar lagi to chup hai tu
ruk ki tera abhi jala kya hai
kyun bhaTakti hain saDkon pe ruhen
mar ke jine ki ye saza kya hai
ek KHalish si hawa mein hai shayad
sans mushkil sa ho gaya kya hai
tu bhi insan main bhi insan hi
ab ye insaniyat bata kya hai
jite ho lash par kisi ki tum
kal wo jitega to bura kya hai
dard tera mera na ho yaksan
dard hi hai alahada kya hai
Ghazal
KHauf ka tari silsila kya hai
Dinakshi Sahar