KHauf ek dil mein samaya laraz uTTha kaghaz
kanpte hathon se zalim ne jo moDa kaghaz
na to nila na to pila na to ujla kaghaz
chahiye un ke talawwun ko tiranga kaghaz
safha-e-dil pe nazar aate hain ab dagh hi dagh
god Dala kisi kambaKHt ne sara kaghaz
baghban ke sitam-o-jaur jo likhte baiThe
lag gaya ram ka ram aur dasta ka dasta kaghaz
jab bhi wo baiThte hain likhne ko iqrar-e-wafa
ganw bhar mein kahin milta nahin purza kaghaz
un ke hathon mein qalam-dan-e-hidayat ab hai
jo nahin jaante sidha hai ki ulTa kaghaz
kya kahe un ke taKHayyul ki diyanat koi
jaise dekha hai kabhi bans ka moTa kaghaz
zulm Dha kar bhi abhi tak hai koi be-taqsir
roz likhne pe bhi hai sade ka sada kaghaz
dastan gesu-e-pechan ki jo likhne baiThe
fountain-pen mein hamare bahut uljha kaghaz
dam-e-tahrir na zahir ho kahin dil ka ghubar
dekhiye hone na pae kahin maila kaghaz
bhejna hai mujhe ek mah-jabin ka KHat-e-shauq
'shauq'-sahab kahin milta nahin baDhiya kaghaz

Ghazal
KHauf ek dil mein samaya laraz uTTha kaghaz
Shauq Bahraichi