KHauf-e-jaan aas-pas rahta hai
dil yun hi kab udas rahta hai
dekh kar ab lahu ki arzani
har koi bad-hawas rahta hai
sare insan bichhaD gae to kya
mera gham mere pas rahta hai
jab se dil ko diye hain us ne zaKHm
karb-o-gham aas-pas rahta hai
aadmi ja basega suraj par
aisa bhi kya qayas rahta hai
KHauf-e-dariya use nahin hota
jo samundar-shanas rahta hai
Ghazal
KHauf-e-jaan aas-pas rahta hai
Ahsan Imam Ahsan