اردو हिंदी
KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui | Shaahi Shayari
KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui

Ghazal

KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui

Qamar Jalalvi

;

KHatm shab qissa-e-muKHtasar na hui
shama gul ho gai sahar na hui

ru-e-shabnam jala jo ghar mera
phul ki kam hansi magar na hui

hashr mein bhi wo kya milenge hamein
jab mulaqat umr-bhar na hui

aaina dekh kar ye kijiye shukr
aap ko aap ki nazar na hui

sab the mahfil mein un ki mahw-e-jamal
ek ko ek ki KHabar na hui

sainkaDon raat ke kiye wade
un ki raat aaj tak 'qamar' na hui