KHatm kiya saba ne raqs gul pe nisar ho chuki
josh-e-nashat ho chuka saut-e-hazar ho chuki
rang-e-banafsha miT gaya sumbul-e-tar nahin raha
sehn-e-chaman mein zinat-e-naqsh-o-nigar ho chuki
masti-e-lala ab kahan us ka pyala ab kahan
daur-e-tarab guzar gaya aamad-e-yar ho chuki
rut wo jo thi badal gai aai bas aur nikal gai
thi jo hawa mein nikhat-e-mushk-e-tatar ho chuki
ab tak usi rawish pe hai 'akbar'-e-mast-o-be-KHabar
kah de koi aziz-e-man fasl-e-bahaar ho chuki
Ghazal
KHatm kiya saba ne raqs gul pe nisar ho chuki
Akbar Allahabadi