اردو हिंदी
KHatm kab hoga safar marne ke baad | Shaahi Shayari
KHatm kab hoga safar marne ke baad

Ghazal

KHatm kab hoga safar marne ke baad

Khalid Iqbal Taib

;

KHatm kab hoga safar marne ke baad
aur hoga tez-tar marne ke baad

wo samajhna bhi samajhna kya hua
log samjhenge magar marne ke baad

lakh duniya mein ho koi lakh-pati
sab ka hasil hai sifar marne ke baad

ek hi maidan mein leTe hain sab
kya gada kya tajwar marne ke baad

kis qadar bechaargi mein hain paDe
kaise kaise chaara-gar marne ke baad

doston mein munqasim ho jaenge
kor-chashm aur dida-war marne ke baad