KHatm is tarah naza-e-haq-o-baatil ho jae
ek taraf donon jahan ek taraf dil ho jae
dil mein wo shorish-e-jazbaat wo garmi na rahi
ab ye shayad nigah-e-dost ke qabil ho jae
jaanta hun ki wafa ji se guzarna hai magar
yun na de tan ki jina mujhe mushkil ho jae
do-jahan tark-e-mohabbat mein kiye tere liye
aur bezar jo tujh se bhi mera dil ho jae
qadr-e-insan hai abhi bazm-e-adam mein 'simab'
kyun wo duniya mein rahe jo kisi qabil ho jae
Ghazal
KHatm is tarah naza-e-haq-o-baatil ho jae
Seemab Akbarabadi