KHata-war-e-murawwat ho na marhun-e-karam ho ja
masarrat sar jhukaegi parastar-e-alam ho ja
inhi be-rabt KHwabon se koi tabir niklegi
inhi uljhi hui rahon pe mera ham-qadam ho ja
kisi zardar se jins-e-tabassum mangne wale
kisi bekas ke lashe par sharik-e-chashm-e-nam ho ja
kisi din in andheron mein charaghan ho hi jaega
jala kar dagh-e-dil koi ziya-e-sham-e-gham ho ja
tujhe suljhaega ab inqilab-e-waqt ka shana
taqaza-e-junun hai gesu-e-dauran ka KHam ho ja
tajassus markaz-e-taqdir ka qail nahin hota
shuur-e-bandagi! begana-e-dair-o-haram ho ja
ye manzil aur gard-e-karwan 'saghar' kahan apne
simaT kar rahguzar-e-waqt par naqsh-e-qadam ho ja

Ghazal
KHata-war-e-murawwat ho na marhun-e-karam ho ja
Saghar Siddiqui