KHat us ke apne hath ka aata nahin koi
kya hadsa hua hai batata nahin koi
guDiyan jawan kya huin mere paDos ki
aanchal mein jugnuon ko chhupata nahin koi
jab se bata diya hai nujumi ne mera nam
apni hatheliyon ko dikhata nahin koi
kuchh itni tez dhup nae mausamon ki hai
biti hui ruton ko bhulata nahin koi
dekha hai jab se KHud ko mujhe dekhte hue
aaina samne se haTata nahin koi
'azhar' yahan hai ab mere ghar ka akela-pan
suraj agar na ho to jagata nahin koi
Ghazal
KHat uske apne hath ka aata nahin koi
Azhar Inayati