KHat ne aa kar ki hai shayad rahm farmane ki arz
tab tu ab sunta hai hans kar mujh se diwane ki arz
sham-e-ghurbat hum se majruhon ki hai fariyaad-ras
zulf ki chhati phaTi hai sunte hi shane ki arz
bosa-e-lal-e-butan jo le so ho be-abru
itni hi KHidmat mein maston ki hai paimane ki arz
gosh-e-gul mein sab phaphule paD gae shabnam ke hath
aag thi bulbul ki fariyaadon ke afsane ki arz
fasl-e-gul aate hi 'uzlat' dil zaban-e-ah se
meri KHidmat mein kare hai dasht mein jaane ki arz
Ghazal
KHat ne aa kar ki hai shayad rahm farmane ki arz
Wali Uzlat