KHat mein us ko kaise likkhen kya pana kya khona hai
duri mein to ho nahin sakta jo aapas mein hona hai
nind ka panchhi aa pahuncha hai wahshi dil ki baat na sun
mil bhi gae to aaKHir thak kar gahri nind hi sona hai
wo aaya to sare mausam badle badle lagte hain
ya kanTon ki sej bichhi thi ya phulon ka bichhauna hai
abhi to KHushk bahut hai mausam barish ho to sochenge
hum ne apne armanon ko kis miTTi mein bona hai
hum ko nasihat karne wale KHud bhi yahi kuchh karte hain
tum kya qisse le baiThe ho ye umron ka rona hai
kanch ki guDiyan taq mein kab tak aap sajae rakkhenge
aaj nahin to kal TuTega jis ka nam khilauna hai
baDe baDe dawe hain lekin chhoTe chhoTe qad 'shahzad'
phankni hai kuchh KHak un ko kuchh pani unhen bilona hai
Ghazal
KHat mein usko kaise likkhen kya pana kya khona hai
Shahzad Ahmad