اردو हिंदी
KHat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui | Shaahi Shayari
KHat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui

Ghazal

KHat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui

Qayem Chandpuri

;

KHat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui
wo manush kidhar gae wo mirzai kya hui

hum na kahte the ki pyare jaan ahl-e-dil ki qadr
ab wo dil kidhar gae wo dilrubai kya hui

zor karta hai ek aalam na-tawanon par tere
ai sipahr-e-dun teri zor-azmai kya hui

shaiKH-ji aaya na masjid mein wo kafir warna hum
puchhte tum se ki ab wo parsai kya hui

roiye is gham-kade mein aah kis kis ko ki yan
dekhte nazron ke apni ek KHudai kya hui

ai wafa-begana tha tu bhi to hum se aashna
wo wafa kidhar gai wo aashnai kya hui

go kisi haalat mein ho 'qaem' main samjhun hun tujhe
hai to tu wo hi pa teri kibriyai kya hui