اردو हिंदी
KHat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun | Shaahi Shayari
KHat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun

Ghazal

KHat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun

Ajmal Siddiqi

;

KHat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun
jaane kis ummid pe ye tawiz daba ke rakhta hun

taki ek ek lafz mere lahje mein tujh se baat kare
KHat ke har har lafz ko KHat par KHub paDha ke rakhta hun

aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen
aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun

ek zara sa dard mila aur kaghaz kale kar Dale
ek zara se hijr pe ek hangama macha ke rakhta hun

ambar, mushkin, ruh-e-bahaaran jaan-faza o mauj-e-bahisht
ek teri nisbat se kya kya nam saba ke rakhta hun