KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
husn ki sarkar mein jitne baDhe hindu baDhe
baad ranjish ke gale milte hue rukta hai ji
ab munasib hai yahi kuchh main baDhun kuchh tu baDhe
baDhte baDhte baDh gai wahshat wagarna pahle to
hath ke naKHun baDhe sar ke hamare mu baDhe
tujh ko dushman wan shararat se jo bhaDkate hai rose
chahte hain aur shar ai shoKH-e-atish-e-KHu baDhe
kuchh tap-e-gham ko ghaTa kya faeda is se tabib
rose nusKHe mein agar KHurfa ghaTe kahu baDhe
peshwai ko gham-e-jaanan ki chashm-e-dil se 'zauq'
jab baDhe nale to us se beshtar aansu baDhe
Ghazal
KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
Sheikh Ibrahim Zauq