KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap 
khul gaya hum pe hasinon ka bharam aap hi aap 
ab ke ruThe to manane nahin aaya koi 
baat baDh jae to ho jati hai kam aap hi aap 
roz baDhta tha koi dast-e-talab apni taraf 
sar se hota hoga ek bojh bhi kam aap hi aap 
un ke wadon pe koi din to guzara kije 
aap ban jaenge taswir-e-alam aap hi aap 
jaise bujhta hai koi phul sharara ban kar 
husn ki aanch bhi ho jaegi kam aap hi aap 
aabginon ki tarah TuT gaya TuT gaya 
KHwab-e-yusuf mein zuleKHa ka bharam aap hi aap 
shaKH-e-tanhai se phal toDenge chupke chupke 
ishq ke ye bhi maze luTenge hum aap hi aap 
der tak chhai rahi ek udasi dil par 
jaane kya soch ke phir hans diye hum aap hi aap 
main kahan aaya hun lae hain teri mahfil mein 
meri wahshat mere majbur qadam aap hi aap
        Ghazal
KHarch jab ho gai jazbon ki raqam aap hi aap
Fay Seen Ejaz

