KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi
gali dil ki gulzar ho kar rahegi
hukumat ghamon ki nahin chalne wali
masarrat ki yalghaar ho kar rahegi
ki shaKHon pe phulon ke guchchhe to dekho
ye baghiya samar-dar ho kar rahegi
bhare jaenge ghaar parbat gira kar
ye dharti to hamwar ho kar rahegi
lakiren faqat khenchta ja waraq par
koi shakl tayar ho kar rahegi
main aisa fasana sunane ko hun ab
ki shab bhar tu bedar ho kar rahegi
ye pagal hawa aur safar be-karan ye
juda sar se dastar ho kar rahegi
chalaunga tesha mein ab aajizi ka
ana us ki mismar ho kar rahegi
Ghazal
KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi
Saurabh Shekhar