اردو हिंदी
KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga | Shaahi Shayari
KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

Ghazal

KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

Irfan Siddiqi

;

KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga
achanak ji uThen wo baam-o-dar aisa nahin hoga

wo sab ek bujhne wale shola-e-jaan ka tamasha tha
dobara ho wahi raqs-e-sharar aisa nahin hoga

wo sari bastiyan wo sare chehre KHak se niklen
ye duniya phir se ho zer-o-zabar aisa nahin hoga

mere gum-gashtagan ko le gai mauj-e-rawan koi
mujhe mil jae phir ganj-e-guhar aisa nahin hoga

KHarabon mein ab un ki justuju ka silsila kya hai
mere gardun-shikar aaen idhar aisa nahin hoga

hayule raat bhar mehrab-o-dar mein phirte rahte hain
mein samjha tha ki apne ghar mein Dar aisa nahin hoga

main thak jaun to bazu-e-hawa mujh ko sahaara de
girun to tham le shaKH-e-shajar aisa nahin hoga

koi harf-e-dua mere liye patwar ban jae
bacha le Dubne se chashm-e-tar aisa nahin hoga

koi aazar pahle bhi raha hoga mere dil ko
raha hoga magar ai chaara-gar aisa nahin hoga

ba-hadd-e-wusat-e-zanjir gardish karta rahta hun
koi wahshi giraftar-e-safar aisa nahin hoga

badaun teri miTTi se bichhaD kar ji raha hun main
nahin ai jaan-e-man, bar-e-digar aisa nahin hoga