KHaraba aur hota hai KHarab aahista aahista
dayar-e-dil pe aate hain azab aahista aahista
sawal-e-wahshat-e-jaan ke jawab aahista aahista
but-e-kafir uThate hain naqab aahista aahista
koi dast-e-hinai mu-qalam se bharta jata hai
nigar-e-sham mein rang-e-sharab aahista aahista
bagula ibtida-e-shauq mein mahmil dikhai de
nazar aate hain sahra mein sarab aahista aahista
bahut bosida yaadon ke waraq jhaDne bhi lagte hain
palaT umr-e-guzishta ki kitab aahista aahista
suragh-e-naqsh-e-pa miTte chale jate hain sahra mein
ubharta hai safar mein iztirab aahista aahista
kamal-e-shauq-e-nazzara mein uryan hota jata hai
sar-e-baam-e-falak wo mahtab aahista aahista
kabhi KHushbu kabhi naghma kabhi rangin pairahan
'nadim' ugti hai yun hi fasl-e-KHwab aahista aahista
Ghazal
KHaraba aur hota hai KHarab aahista aahista
Kamran Nadeem