KHarab-o-KHasta hue KHak mein shabab mila
hamein ye dil na mila jaan ka azab mila
kisi ki yaad mein be-shubah be-qarar hai tu
ki aaj hai teri shoKHi mein iztirab mila
sharab pi to gunahgar main hua waiz
burai ki jo meri tujh ko kya sawab mila
mile wo aish-e-guzishta bhi ai KHuda mujh ko
bahisht mein jo dobara mujhe shabab mila
baDi karim hai pir-e-mughan ki bhi sarkar
ki jab mila mujhe saghar alal-hisab mila
kuchh aarzu na rahi tark-e-arzu ke siwa
mere sawal ka aisa mujhe jawab mila
gaya jo dil to mila dagh-e-arzu mujh ko
ek aaftab jo khoya ek aaftab mila
'hafiz' tum ko wo nakaam-e-wasl kahte hain
bura na mano ye achchha tumhein KHitab mila
Ghazal
KHarab-o-KHasta hue KHak mein shabab mila
Hafeez Jaunpuri