اردو हिंदी
KHarab hun ki junun ka chalan hi aisa tha | Shaahi Shayari
KHarab hun ki junun ka chalan hi aisa tha

Ghazal

KHarab hun ki junun ka chalan hi aisa tha

Shaz Tamkanat

;

KHarab hun ki junun ka chalan hi aisa tha
ki tera husn mera husn-e-zan hi aisa tha

har ek Dub gaya apni apni yaadon mein
ki tera zikr sar-e-anjuman hi aisa tha

bahana chahiye tha ju-e-shir-o-shirin ka
koi samajh na saka tesha-zan hi aisa tha

had-e-adab se gurezan na ho saka koi
ki sadgi mein tera bankpan hi aisa tha

rafaqaton mein bhi niklin riqabaten kya kya
main kya kahun tera ru-e-suKHan hi aisa tha

jahan bhi chhanw mili do-ghaDi ko baiTh rahe
dayar-e-ghair kahan tha watan hi aisa tha

thi dagh dagh mere qatilon ki KHush-poshi
ki umr-bhar mere sar par kafan hi aisa tha

mujhe to yun laga tarsha hua tha shoala koi
badan hi aisa tha kuchh pairahan hi aisa tha

haqiqaton mein bhi thi 'shaz' rang-amezi
qasida-e-lab-o-ariz ka fan hi aisa tha