KHarab ho gaya jab mere jism ka kaghaz
to meri ruh ne pahna hai dusra kaghaz
guzar di hai yun hi joDte ghaTate hue
sawal hal na hue aur bhar gaya kaghaz
gharib-e-shahr hun ghar hai na karobar koi
kabhi bichhata kabhi oDhta raha kaghaz
huruf raqs-kunan ho gae achanak hi
labon se apne jo us ne kabhi chhua kaghaz
wo din bhi yaad hain hum ko tumhaare hijran mein
hamare beach mein jab rabta bana kaghaz
use jo naw banaya to gharq-e-ab hua
kuchh aur der to lahron se khelta kaghaz
adalaton mein bhi jhuTi gawahiyon ke liye
tamam-umr zaban kholta raha kaghaz
futur zehn mein bhar kar hawas ke nezon par
uchhaalta raha hum ko haram ka kaghaz
Ghazal
KHarab ho gaya jab mere jism ka kaghaz
Sanjay Mishra Shauq