KHarab-e-ishq sahi aalam-e-shuhud mein hun
hun ashk ashk magar apne hi wajud mein hun
kisi ne naghmon mein tahlil kar diya hai mujhe
na gungunao ki main parda-e-surud mein hun
tu apni zat se mujh ko alag na jaan ki main
tere jamal ki nikhat ke tar-o-pud mein hun
hazar rang mein dekha hai mujh ko duniya ne
azal se ta-ba-abad nashsha-e-warud mein hun
KHud apni zat ka irfan na ho saka mujh ko
abhi main kashmakash-e-dam-e-hast-o-bud mein hun

Ghazal
KHarab-e-ishq sahi aalam-e-shuhud mein hun
Raza Hamdani