KHanjar ki tarah utre hai jo baat karo ho
apnon pe ye tum kaisi inayat karo ho
jab barmala kahne ki yahan rasm nahin hai
phir kis liye tum purshish-e-haalat karo ho
ya kahte the tum khul ke kaho jo bhi hai dil mein
ya kahte ho tum hum se shikayat karo ho
ya hum se ghaDi-bhar ki judai thi qayamat
ya hum se ghaDi-bhar bhi na ab baat karo ho
dekho kabhi us ko bhi jo hai chehron ke pichhe
kahne ko to tum sab se mulaqat karo ho
hum dil-zadagan ko bhi to aa kar kabhi puchho
tum sab pe karam sab pe inayat karo ho
is kucha se guzro ho na tum us se milo ho
is shahr mein kaise guzar auqat karo ho
tasbih thi us nam ki har-waqt ya ab tum
allah ki din-raat munajat karo ho
hai tark-e-talluq bhi to yak-guna talluq
kyun us ki zamana se shikayat karo ho
wo tum se KHafa hai to use ja ke mana lo
kyun aur KHarab apne ye haalat karo ho
'iqbaal' uTho kaam mein ab ji ko lagao
kis dhyan mein barbaad ye din-raat karo ho
Ghazal
KHanjar ki tarah utre hai jo baat karo ho
Iqbal Haidri