KHanjar chamka raat ka sina chaak hua
jangal jangal sannaTa saffak hua
zaKHm laga kar us ka bhi kuchh hath khula
main bhi dhoka kha kar kuchh chaalak hua
meri hi parchhain dar o diwar pa hai
subh hui nairang tamasha KHak hua
kaisa dil ka charagh kahan ka dil ka charagh
tez hawaon mein shoala KHashak hua
phul ki patti patti KHak pe bikhri hai
rang uDa uDte uDte aflak hua
har dam dil ki shaKH larazti rahti thi
zard hawa lahrai qissa pak hua
ab us ki talwar meri gardan hogi
kab ka KHali 'zeb' mera fitrak hua
Ghazal
KHanjar chamka raat ka sina chaak hua
Zeb Ghauri