khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha
badan mein lauT aane ka irada hi nahin tha
shikam ki aag ne bailon ko hankna sikhaya
wagarna hal chalane ka irada hi nahin tha
wo apne bheDiyon ko sair par laya tha ban mein
ghazalon ko Darane ka irada hi nahin tha
kaha tha taeron se peD ko dimak lagi hai
kisi ko aazmane ka irada hi nahin tha
KHabar kab thi ki aankhen os barsane lagengi
tujhe warna jagane ka irada hi nahin tha
main tere sath uDta phir raha tha aasman mein
KHuda ko bhul jaane ka irada hi nahin tha
sadi main ne tamannaon ko baal-o-par diye the
magar un ko uDane ka irada hi nahin tha
Ghazal
KhanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha
Daniyal Tareer