khanDar mein dafn hui hain imaraten kya kya
likhi hain katba-e-dil par ibaraten kya kiya
hisar-e-barf mein rahna kabhi sarabon mein
safar ke shauq ne saunpi sifaraten kya kya
talash-e-lafz mein umron ki kawishon ka samar
andhere ghaar mein ghumin basarten kya kya
kahin badan ke hain saude kahin zamiron ke
hui hain shahr mein ab ke tijaraten kya kya
sawere aankh khuli to nazar mein kuchh bhi na tha
KHayal-o-KHwab mein pain bashaaraten kya kya
dayar-e-zar se mata-e-ana bacha lae
nazar nazar mein bhari thin hiqaraten kya kya
tan-e-shikasta ki tamir ke liye 'rasiKH'
amal mein lai gai hain mahaaraten kya kya
Ghazal
KhanDar mein dafn hui hain imaraten kya kya
Rasikh Irfani