اردو हिंदी
KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai | Shaahi Shayari
KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai

Ghazal

KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai

Mirza Ghalib

;

KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai
nigah dil se tere surma-sa nikalti hai

fashaar-e-tangi-e-KHalwat se banti hai shabnam
saba jo ghunche ke parde mein ja nikalti hai

na puchh sina-e-ashiq se aab-e-tegh-e-nigah
ki zaKHm-e-rauzan-e-dar se hawa nikalti hai

ba-rang-e-shisha hun yak-gosha-e-dil-e-KHali
kabhi pari meri KHalwat mein aa nikalti hai