KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai
kisi se baat karne ka bahana chahti hai
nafas ke loch ko KHanjar banana chahti hai
mohabbat apni tezi aazmana chahti hai
mabaada shahr ka rasta koi rah-rah na pa le
hawa qabron ki shamen bhi bujhana chahti hai
gulabon se lahu rista hai meri ungliyon ka
faza kaisi chaman-bandi sikhana chahti hai
main ab ke us ki buniyaadon mein lashen chun raha hun
imarat koi qasr-e-dil-barana chahti hai
jahan patthar sahi lekin junun ki KHud-numai
fareb-e-jalwa-e-aina-KHana chahti hai
Ghazal
KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai
Abdur Rauf Urooj