KHamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge
teri aankhon ke be-awaz lahje yaad aaenge
tasawwur Thokaren khate hue qadmon se uljhega
ubharti Dubti manzil ke raste yaad aaenge
mujhe malum hai dam toD degi aagahi meri
jo lamhe bhulne ke hain wo lamhe yaad aaenge
kabhi apne akele-pan ke bare mein jo sochoge
tumhein TuTe hue kuchh KHas rishte yaad aaenge
kuchh aisa ho ki taswiron mein jal jae tasawwur bhi
mohabbat yaad aaegi to shikwe yaad aaenge
jo tera jism chhu kar meri sanson mein samate the
har aahaT par wahi KHushbu ke jhonke yaad aaenge
bhale auraq-e-mazi chaT jae waqt ki dimak
jo qisse yaad aane hain wo qisse yaad aaenge
jahan tum se bichhaDne ka sabab aankhen bhigoenge
wahin apni mohabbat ke wasile yaad aaenge
'salim' aaKHir gae waqton ki qabren khodiye kyun-kar
dil-e-masum ko apne khilaune yaad aaenge

Ghazal
KHamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge
Sardar Saleem