اردو हिंदी
KHamosh rah kar pukarti hai | Shaahi Shayari
KHamosh rah kar pukarti hai

Ghazal

KHamosh rah kar pukarti hai

Naseem Abbasi

;

KHamosh rah kar pukarti hai
wo aankh kitni shararti hai

hai chandni sa mizaj is ka
samundaron ko ubhaarti hai

mein baadalon mein ghira jazira
wo mujh mein sawan guzarti hai

ki jaise main is ko chahta hun
kuchh aise KHud ko sanwarti hai

KHafa ho mujh se to apne andar
wo barishon ko utarti hai