KHamosh kis liye baiThe ho chashm-e-tar kyun ho
koi KHafa ho kisi se to is qadar kyun ho
nazar ki pyas bujha do jo ek nigah se tum
to har nazare se ruswa meri nazar kyun ho
junun ki jada-tarashi hai bankpan mera
ye rahguzar-e-jahan apni rahguzar kyun ho
gira tha jam na TuTa tha koi aaina
shikast-e-dil ki bhala aap ko KHabar kyun ho
rafiq ta-ba sahar hai sitara-e-shab-e-gham
ye bewafa sa ujala bhi ham-safar kyun ho
kabhi na ruThne wale bhi ruTh jate hain
ye baat pyar mein hoti to hai magar kyun ho
gham-e-zamin se yahan fursat-e-nazara kise
gali mein tum bhi chale aao baam par kyun ho
shab-e-firaq hi achchhi koi ummid to hai
baghair un ke sahar ho to phir sahar kyun ho
wo sher sada sahi sun ke dil bhar aae 'shamim'
jo pur-KHulus ho lahja to be-asar kyun ho
Ghazal
KHamosh kis liye baiThe ho chashm-e-tar kyun ho
Shamim Karhani