KHamosh jhil mein girdab dekh lete hain
samundaron ko bhi payab dekh lete hain
zara jo azmat-e-rafta pe harf aane lage
to ek bachi hui mehrab dekh lete hain
uchaTti nind se hasil bhi aur kya hoga
kaTe phaTe hue kuchh KHwab dekh lete hain
hamein bhi jurat-e-guftar hone lagti hai
jo un ke lahje ko shadab dekh lete hain
safar ka azm to baqi nahin raha 'rashid'
bas ab bandha hua asbab dekh lete hain
Ghazal
KHamosh jhil mein girdab dekh lete hain
Rashid Jamaal Farooqi