KHamosh jada-e-inkar bhi hai sahra bhi
aza mein pa-e-junun bar bhi hai sahra bhi
kahin bhi jaen lahu ko to sirf hona hai
ki tishna kucha-e-dildar bhi hai sahra bhi
mata-e-zist KHariden ki teri samt baDhen
hamare samne bazar bhi hai sahra bhi
mujhe to sari hadon se gurez karna hai
mera harif to ghar-bar bhi hai sahra bhi
yahin ye dhul yahin KHushbuen bhi uDti hain
ye dil ki KHitta-e-gulzar bhi hai sahra bhi
na chhoDta hai na zanjir kar ke rakhta hai
tera KHayal ki diwar bhi hai sahra bhi
ye kya jagah hai jahan donon waqt milte hain
yahan daraKHt samar-bar bhi hai sahra bhi
zara si chuk se pansa palaT bhi sakta hai
ki aql shahr-e-fusun-kar bhi hai sahra bhi
Ghazal
KHamosh jada-e-inkar bhi hai sahra bhi
Arshad Abdul Hamid