KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai
abhi ye dekh rahe hain hawa kidhar ki hai
bujhe charagh to ehsas-e-karb jag uTha
na jaane kaise parindon ne shab basar ki hai
hamare bachchon ke dil mein sulag rahe hain alaw
ye aag bujh nahin paegi umr bhar ki hai
naha uThenge abhi log be-sabab KHun mein
ye jang sirf hamare hi ek sar ki hai
na tum kahoge to KHanjar pukar uTThega
lahu mein kis ke ye phir aastin tar ki hai
barahna kanTon pe bistar bichha diya main ne
tu bhul ja ki meri aarzu safar ki hai
panah dhup se 'ahsan' jo de sake sab ko
zarurat aaj yahan aise ek shajar ki hai
Ghazal
KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai
Nawab Ahsan