KHamir mera uTha wafa se
wajud mera faqat haya se
kuchh aur bojhal hua mera dil
ghuTi hui dard ki faza se
baras paDe hasraton ke baadal
nazar pe chhai hui ghaTa se
hai wahshaton ka safar musalsal
baDha junun hijr ki saza se
hatheliyon par na rach saki wo
jo nam likkha tera hina se
bana gai tum ko aur chanchal
jhuki jo meri nazar haya se
gulon pe ek be-KHudi si chhai
chaman mein bahki hui saba se
hai wajd kyun shaKH-e-gul pe tari
lipaT ke jhumi wo kyun hawa se
mahak ki kirnen chaman mein raqsan
gulab ki reshmi qaba se
kali ko chuma gulon ko nocha
kisi ne simab si ada se
hai to masiha to kar mudawa
hai soch zaKHmi teri jafa se
wahi ada be-niyaziyon ki
to kaam kab tak na lun ana se
yaqin kaise karun main 'bano'
sukun kya de saken dilase

Ghazal
KHamir mera uTha wafa se
Saima Naseem bano