اردو हिंदी
KHalwati-e-KHayal ko hosh mein koi lae kyun | Shaahi Shayari
KHalwati-e-KHayal ko hosh mein koi lae kyun

Ghazal

KHalwati-e-KHayal ko hosh mein koi lae kyun

Ravish Siddiqi

;

KHalwati-e-KHayal ko hosh mein koi lae kyun
shola-e-tur hi sahi hum se nazar milae kyun

hum se kuchh aur hi kaha un se kuchh aur kah diya
baad-e-saba ye kya kiya tu ne ye gul khilae kyun

qais ka hasil-e-junun naqa o mahmil o hijab
laila-e-najd-ashna KHalwat-e-dil mein aae kyun

aql haris-e-KHar-o-KHas surat-e-shola-e-hawas
daulat-e-soz-e-jawedan aql ke hath aae kyun

gardish-e-mehr-o-mah bhi gardish-e-jam ban gai
subh na laDkhaDae kyun sham na jhum jae kyun

talib-e-hujla-e-bahaar dasht-e-talab hai KHarzar
waqt kisi ki rah mein masnad-e-gul bichhae kyun

hashr mein husn se 'rawish' shikwa-e-ru-ba-ru ghalat
roz-e-azal ki baat hai aaj hi yaad aae kyun