اردو हिंदी
KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se | Shaahi Shayari
KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se

Ghazal

KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se

Iftikhar Arif

;

KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se
nok-e-sinan pe sar nahin dekha bahut dinon se

patthar pe sar rakh kar sone wale dekhe
hathon mein patthar nahin dekha bahut dinon se

qatil jis ki zad se KHud mahfuz rah sake
aisa koi KHanjar nahin dekha bahut dinon se

apne hi KHemon par jo shab-KHun na mare
aisa koi lashkar nahin dekha bahut dinon se

shaKH-e-burida khuli faza se puchh rahi hai
koi shikasta-par nahin dekha bahut dinon se

zindan ahl-e-junun ko shayad ras aa gaya
diwaron mein dar nahin dekha bahut dinon se

KHak uDane wale logon ki basti mein
koi surat-gar nahin dekha bahut dinon se

sachche sain hamare 'hazrat-mehr-ali-shah'
baba hum ne ghar nahin dekha bahut dinon se