KHalq ne chhin li mujh se meri tanhai tak
ishq aa pahuncha hai ilzam se ruswai tak
khol rakkha hai ye darwaza-e-dil tere liye
kash tu dekh sake ruh ki gahrai tak
kyun hun main aur mere gham ka use ehsas kahan
hai mulaqat faqat anjuman-arai tak
yun to hum ahl-e-nazar hain magar anjam ye hai
DhunDte DhunDte kho dete hain binai tak
khul gae wo to khula apni mohabbat ka bharam
walwale dil mein hazaron the shanasai tak
Dubna apna muqaddar tha magar zulm hai ye
bah gae ek hi rele mein tamashai tak
KHushk miTTi pe bhi girta nahin patta koi
KHamushi wo hai ki chalti nahin purwai tak
shahr mein ahl-e-jafa ahl-e-riya rahte hain
ye hawa kash na pahunche tere saudai tak
apne anjam pe KHud roegi sham-e-mahfil
chhoD jaenge use us ke tamannai tak
hum ne bhi dasht-nawardi to bahut ki 'shahzad'
hath pahuncha na kisi lala-e-sahrai tak
Ghazal
KHalq ne chhin li mujhse meri tanhai tak
Shahzad Ahmad