KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka
ek gosha hai ye duniya isi virane ka
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
husn hai zat meri ishq sifat hai meri
hun to main shama magar bhes hai parwane ka
kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun
aastana hai haram mere sanam-KHane ka
muKHtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hun
raaz-e-kaunain KHulasa hai is afsane ka
zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe
DhunDti hai koi hila mere mar jaane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamasha mere gham-KHane ka
ab ise dar pe le ja ke sula de saqi
yun bahakna nahin achchha tere mastane ka
dil se pahunchi to hain aankhon mein lahu ki bunden
silsila shishe se milta to hai paimane ka
haDDiyan hain kai lipTi hui zanjiron mein
liye jate hain janaza tere diwane ka
wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre mein aalam hai pari-KHane ka
chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang
dil mere KHun se labrez hai paimane ka
lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain
kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka
hum ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan
kahin paya na Thikana tere diwane ka
kis ki aankhen dam-e-aKHir mujhe yaad aai hain
dil muraqqa hai chhalakte hue paimane ka
kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani'
aap ki jaan se dur aap ke mar jaane ka
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
Ghazal
KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka
Fani Badayuni