KHalish sukun ka mudawa nahin to kuchh bhi nahin
shikast-e-saz mein naghma nahin to kuchh bhi nahin
jise zamana kahe iztirab ka aalam
wo zindagi ka sahaara nahin to kuchh bhi nahin
sarod-e-bang-e-moazzin nahin dalil-e-sahar
mizha pe subh ka tara nahin to kuchh bhi nahin
hua karen tere kan aashna-e-shor-e-jaras
safar ka dil mein irada nahin to kuchh bhi nahin
ye mana qalb-e-zamin tak teri pahunch hai magar
talash-e-auj-e-surayya nahin to kuchh bhi nahin
hamare butkada-e-dil mein DhunD to zahid
yahin kahin tera kaba nahin to kuchh bhi nahin

Ghazal
KHalish sukun ka mudawa nahin to kuchh bhi nahin
Wamiq Jaunpuri