اردو हिंदी
KHalish ho jis mein wo arman talash karta hun | Shaahi Shayari
KHalish ho jis mein wo arman talash karta hun

Ghazal

KHalish ho jis mein wo arman talash karta hun

Shams Itawi

;

KHalish ho jis mein wo arman talash karta hun
na nikle dil se jo paikan talash karta hun

kisi ki kakul-e-pechan talash karta hun
chaman mein sumbul-o-raihan talash karta hun

na jis mein daur-e-KHizan ho na aashiyana jale
main koi aisa gulistan talash karta hun

KHilaf-e-waza hai hadd-e-junun se baDh jaana
tariq-e-chaak-gariban talash karta hun

main is talash ke qurban fasana-e-dil ko
main rose ek naya unwan talash karta hun

na koi shama hai raushan na raqs-e-parwana
sukun-e-gor-e-ghariban talash karta hun

jo hadsat ki aandhi mein bhi rahe raushan
main aisi sham-e-farozan talash karta hun

kabhi kalim ne dekha tha tur par jalwa
wahi main jalwa-e-jaanan talash karta hun

wo shah-rag se bhi nazdik shams' rahta hai
jise ba-koh-o-bayaban talash karta hun