KHalish-e-tir-e-be-panah gai
lijiye un se rasm-o-rah gai
aap hi markaz-e-nigah rahe
jaane ko chaar-su nigah gai
samne be-naqab baiThe hain
waqat-e-husn-e-mehr-o-mah gai
us ne nazren uTha ke dekh liya
ishq ki jurat-e-nigah gai
intiha-e-junun mubarakbaad
pursish-e-haal gah gah gai
mar miTe jald-baz parwane
apni si shama to nibah gai
dil mein azm-e-haram sahi lekin
un ke kuche ko gar ye rah gai
Ghazal
KHalish-e-tir-e-be-panah gai
Ada Jafri