KHala mein ho irtiash jaise kuchh aisa manzar hai aur main hun
ye karb-e-taKHliq ka dhuan hai jo mere andar hai aur main hun
hazar rangon mein apni lahron pe sham ubharti hai Dubti hai
chahaar atraf aaina hain wo zulf-e-abtar hai aur main hun
mere siwa kuchh nahin kahin bhi azal abad ek KHwab-e-masti
zamin qadam-bhar hai mere niche falak nigah-bhar hai aur main hun
siyah girdab si KHala mein kisi ko to Dubna hai aaKHir
safar ka sathi bas ek sitara mere barabar hai aur main hun
mujhe KHabar hai ki 'ramz' kitni samaaten zaKHm zaKHm hongi
lahu ki hain kuchh hikayaten aur zaban-e-KHanjar hai aur main hun
Ghazal
KHala mein ho irtiash jaise kuchh aisa manzar hai aur main hun
Mohammad Ahmad Ramz